Aaj na jane kyu rone ka man kiya,
Maa k aanchal me sir chhupane ka man kiya,
Duniya ki bhag daud me kho chuki thi rishtey sab,
Aaj kyu un sare rishto ko ek sire se sanjone ka mann kiya,
Kisi din bhid me dekhi thi kisi ki aankhe,
Aaj phir un ankhome khone ka man kiya...
Roj sapanose batein karati thi mein,
Aaj na jane kyu unse muh modne ka mann kiya..
Juth bolti hu apne aap se roj me,
Aaj na jane kyu khud se ek sach bolne ka dil kiya..
Dil todti hu sabka apni bato se me,
Aaj na jane kyu ek tuta dil jodne ka dil kiya...
Na Jane kyu aaj rone ko man kiya